Main Kaun Hoon Lyrics - Secret Superstar
Main Kaun Hoon

Main Kaun Hoon Lyrics By Secret Superstar 

Koi yeh bata de main hoon kahaan
Koi to bata de mera pata
Sahi hai ke nahi meri yeh dagar
Loon ke nahi main apna ye safar

Darr lagta hai sapno se
Kar de na yeh tabaah
Dar lagta hai apno se
De dein na yeh dagaa

Main chand hoon ya daag hoon
Main raakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hoon sukoon ya hoon kehar

Koi ye bata de main kaun hoon?
Kyun hoon main, kya hoon?
Main kaun hoon?
Yaqeen hai ke nahi

Khud pe mujhko kya?
Hoon ke nahi main
Hai farak padta kya?

Kiske kandhon pe roun
Ho jaaye jo khataa
Kisko raahon mein dhoondun
Kho jaaye jo pataa

Main chaand hoon ya daag hoon
Main raakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hoon sukoon ya hoon kehar

Main sach kahun ya chup rahun
Dil khol doon ya tod doon
Main hadd karun ya bass karun
Main zidd karun ya chhod doon

Main chaand hoon ya daag hoon
Main raakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hoon sukoon ya hoon kehar

Hey…

Main kaun hoon…?

Main Kaun Hoon Music Video